Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi,
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi,
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi,
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi ?
ye sawaal puchta hu jb khudse,
toh tumhari jhalak hi pata hoon dilpe.
ek khumari, ek nasha cha jaata hai,
har ghari jb tumhara naam ata hai.
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi,
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi ?
jb bhi doosron se is sawaal ka jawaab puchta hoon,
toh samajik reetiyon ki boo jhalakti hai.
phirbhi kitne saarey jawab dete hain,
pr waapis nazariyon ke pench me phans jaata hoon.
aj mera alam ye hai ki,
mujhe kitab ke bahar ki duniya bhi achi lagne lagi.
ki tabhi tumhare sapnon ki duniya mein,
mujhe jyaada khushi milne lagi.
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi,
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi ?
jawab hi toh chahiye mujhe,
toh kyu na tumse hi puch loon,
jo baat tumhare liye hai mere dil me,
toh kyu na jawaab tumme hi dhoond loon.
Kyu tum mujhe itna pasand ane lagi ?
---मनीष मयंक !

No comments:
Post a Comment