UnHappy Tune :(
Yaado me Kitni dafa,
Tumhari Gali Tumhara Dard Pukarta Raha.
Magar Kya karoo,
Mujhse hi aaya na gaya.
Ek gum jo maine diya tha tumhe,
Mujhse bhulaya na gaya.
Us roz main yaha se gaya tha,
ye sochkar ki laut aaunga.
Ek wada jo kiya tha tumse,
wo nibha jaunga.
Magar shayad us waqt zindagi ko ,
ye manzoor nahi tha.
Warna main is kadar bhi majboor nahi tha.. :(
Abhi bhi waqt hai... haa waqt hai abhi..!
Lekin ye wada hai khud se,
Ki ek din tumhare saamne aaunga.
Tumne jo kiya tha ,wo her shikwa mita jaaunga.
Yakeen dila dunga ki, main bura tha magar itna bhi nahi.
Warna tumhara her ilzaam apne sir utha lunga
Jo kar paya agar itna bhi nahi.
---- Manish (( Really Dont Know Y ? ))
No comments:
Post a Comment